Mirza Ghalib Ghazal - Ye na thi hamar qismat
Yeh na thhee hamaree qismat ki visaal-e-yaar hota
Agar aur jeetey rehtey yahee intizaar hota
Terey vaadey par jiye hum jo yeh jaan jhoot jaana
Ki khushee sey mar na jaatey agar aitbaar hota
Koi
dil
merey sey poochhey terey teer-e-neemkash ko
Yeh khalish kahaan sey hotee jo jigar key paar
hota
Rag-e-sang sey tapakta voh lahoo ki phir na thhamta
Jisey gham samajh rahey ho yeh agar sharaar hota
Kahoon kissey main ki kya hai shab-e-gham buree bala hai
Mujhey kya bura thha marnaa agar ek baar hota
Comments
Post a Comment