Mirza Ghalib Ghazal - Ye na thi hamar qismat
Yeh na thhee hamaree qismat ki visaal-e-yaar hota Agar aur jeetey rehtey yahee intizaar hota Terey vaadey par jiye hum jo yeh jaan jhoot jaana Ki khushee sey mar na jaatey agar aitbaar hota Koi dil merey sey poochhey terey teer-e-neemkash ko Yeh khalish kahaan sey hotee jo jigar key paar hota Rag-e-sang sey tapakta voh lahoo ki phir na thhamta Jisey gham samajh rahey ho yeh agar sharaar hota Kahoon kissey main ki kya hai shab-e-gham buree bala hai Mujhey kya bura thha marnaa agar ek baar hota